اردو हिंदी
Ab to KHushi ka gham hai na gham ki KHushi mujhe | Shaahi Shayari
ab to KHushi ka gham hai na gham ki KHushi mujhe

Ghazal

Ab to KHushi ka gham hai na gham ki KHushi mujhe

Shakeel Badayuni

;

ab to KHushi ka gham hai na gham ki KHushi mujhe
be-his bana chuki hai bahut zindagi mujhe

wo waqt bhi KHuda na dikhae kabhi mujhe
un ki nadamaton pe ho sharmindagi mujhe

rone pe apne un ko bhi afsurda dekh kar
yun ban raha hun jaise ab aai hansi mujhe

yun dijiye fareb-e-mohabbat ki umr bhar
main zindagi ko yaad karun zindagi mujhe

rakhna hai tishna-kaam to saqi bas ek nazar
sairab kar na de meri tishna-labi mujhe

paya hai sab ne dil magar is dil ke bawajud
ek shai mili hai dil mein khaTakti hui mujhe

raazi hon ya KHafa hon wo jo kuchh bhi hon 'shakil'
har haal mein qubul hai un ki KHushi mujhe