اردو हिंदी
Qasr viran hua jata hai | Shaahi Shayari
qasr viran hua jata hai

Ghazal

Qasr viran hua jata hai

Shakeel Badayuni

;

qasr viran hua jata hai
dil pareshan hua jata hai

haram o dair ke jalwon ki qasam
kufr iman hua jata hai

tab-e-nazzara ilahi tauba
jalwa hairan hua jata hai

nala aaghosh-e-asar tak aa kar
KHud pasheman hua jata hai

be-piye shaiKH farishta tha magar
pi ke insan hua jata hai

dil hai aamada-e-takmil-e-nashat
gham ka saman hua jata hai

kuchh nahin hasti-e-parwana magar
bazm ki jaan hua jata hai

allah allah ki unhin ka partaw
un pe qurban hua jata hai

har waraq sharh-e-mohabbat ka 'shakil'
apna diwan hua jata hai