dasht mein kaisi diwaren
majnun kis ka ham-saya
Shahzad Ahmad
diwar kis taraf se baDhe kuchh KHabar nahin
hai be-shumar shahron mein jangal ghira hua
Shahzad Ahmad
dil bhi to ek dayar hai raushan hara-bhara
aankhon ka ye charag bujha aur dekh le
Shahzad Ahmad
dil o nigah ka ye fasla bhi kyun rah jae
agar tu aae to main dil ko aankh mein rakh lun
Shahzad Ahmad
dil par bhi aao ek nazar Dalte chalen
shayad chhupe hue hon yahin din bahaar ke
Shahzad Ahmad
dil pe ai dost qayamat si guzar jati hai
tum nigah-e-ghalat-andaz se dekha na karo
Shahzad Ahmad
dil sa wahshi kabhi qabu mein na aaya yaro
haar kar baiTh gae jal bichhane wale
Shahzad Ahmad
din nikalte hi wo KHwabon ke jazire kya hue
subh ka suraj meri aankhen chura kar le gaya
Shahzad Ahmad
duniya mein andheron ke siwa aur raha kya
ek teri tamanna so charagh-e-sahari hai
Shahzad Ahmad

