Dub jata hai damakta hua suraj lekin
mehndiyan sham ke hathon mein racha deta hai
Shahzad Ahmad
dur se dekh ke main ne use pahchan liya
us ne itna bhi nahin mujh se kaha kaise ho
Shahzad Ahmad
ek lamhe mein kaTa hai muddaton ka fasla
main abhi aaya hun taswiren purani dekh ka
Shahzad Ahmad
ek se manzar dekh dekh kar aankhen dukhne lagti hain
is raste par peD bahut hain aur hara koi bhi nahin
Shahzad Ahmad
falak se ghurti hain mujh ko be-shumar aankhen
na chain aata hai ji ko na raat Dhalti hai
Shahzad Ahmad
ghabra ke aasman ki taraf dekhti thi KHalq
jaise KHuda zamin pe maujud hi na tha
Shahzad Ahmad
gosha-e-dil ki KHamoshi ka tamannai main
aur hangame uTha laya hai bazar se tu
Shahzad Ahmad
guzar hi jaegi 'shahzad' jo guzarni hai
sambhaalne se tabiat kahan sambhalti hai
Shahzad Ahmad
guzarne hi na di wo raat main ne
ghaDi par rakh diya tha hath main ne
Shahzad Ahmad

