tere sine mein bhi ek dagh hai tanhai ka
jaanta main to kabhi dur na hota tujh se
Shahzad Ahmad
teri talash to kya teri aas bhi na rahe
ajab nahin ki kisi din ye pyas bhi na rahe
Shahzad Ahmad
tera main kya karun ai dil tujhe kuchh bhi nahin aata
bichhaDna bhi use aata hai aur milna bhi aata hai
Shahzad Ahmad
tirgi hi tirgi hadd-e-nazar tak tirgi
kash main KHud hi sulag uTThun andheri raat mein
Shahzad Ahmad
Thahar gai hai tabiat ise rawani de
zamin pyas se marne lagi hai pani de
Shahzad Ahmad
teri qurbat mein guzare hue kuchh lamhe hain
dil ko tanhai ka ehsas dilane wale
Shahzad Ahmad
talash karni thi ek roz apni zat mujhe
ye bhut bhi mere sar par sawar hona tha
Shahzad Ahmad
taKHta-e-dar pe chahe jise laTka dije
itne logon mein gunahgar koi to hoga
Shahzad Ahmad
Takraata hai sar phoDta hai sara zamana
diwar ko raste se haTata nahin phir bhi
Shahzad Ahmad