zamin naw meri baadban mere aflak
main in ko chhoD ke sahil pe kab utarta hun
Shahzad Ahmad
zabanen thak chukin patthar hue kan
kahani an-kahi thi an-kahi hai
Shahzad Ahmad
yun to hum ahl-e-nazar hain magar anjam ye hai
DhunDte DhunDte kho dete hain binai tak
Shahzad Ahmad
ye samajh ke mana hai sach tumhaari baaton ko
itne KHub-surat lab jhuT kaise bolenge
Shahzad Ahmad
ye bhi sach hai ki nahin hai koi rishta tujh se
jitni ummiden hain wabasta hain tanha tujh se
Shahzad Ahmad
ye chand hi teri jholi mein aa paDe shayad
zamin pe baiTh kamand aasman pe Dale ja
Shahzad Ahmad
us ko KHabar hui to badal jaega wo rang
ehsas tak na us ko dila aur dekh le
Shahzad Ahmad
yun kis tarah bataun ki kya mere pas hai
tu bhi to koi rang dikha aur dekh le
Shahzad Ahmad
yun tark-e-talluq ki qasam khae hue hon
jaise mere sine mein kisi aur ka dil hai
Shahzad Ahmad