sar-e-mizhgan ye nale ab bhi aansu ko taraste hain
ye sach hai jo garajte hain wo baadal kam baraste hain
Shah Naseer
sar-bulandi ko yahan dil ne na chaha munim
warna ye KHema-e-aflak purana kya tha
Shah Naseer
urqa ko ulaT mujh se jo karta hai wo baaten
ab main hama-tan-gosh banun ya hama-tan-chashm
Shah Naseer
gale mein tu ne wahan motiyon ka pahna haar
yahan pe ashk-e-musalsal gale ka haar raha
Shah Naseer
dud-e-ah-e-jigari kaam na aaya yaro
warna ru-e-shab-e-hijr aur bhi kala karta
Shah Naseer
din raat yahan putliyon ka nach rahe hai
hairat hai ki tu mahw-e-tamasha nahin hota
Shah Naseer
dil-e-pur-abla laya hun dikhane tum ko
band ai shisha-garo! apni dukan kijiyega
Shah Naseer
dila us ki kakul se rakh jama KHatir
pareshan se hasil kab ek dam hoga
Shah Naseer
dekhoge ki main kaisa phir shor machata hun
tum ab ke namak mere zaKHmon pe chhiDak dekho
Shah Naseer