mat puchh wardat-e-shab-e-hijr ai 'nasir'
main kya kahun jo kar-e-numayan-e-nala tha
Shah Naseer
mai-kashi ka hai ye shauq us ko ki aaine mein
kan ke jhumke ko angur ka KHosha samjha
Shah Naseer
main us ki chashm ka bimar-e-na-tawan hun tabib
jo mere haq mein munasib ho wo dawa Thahra
Shah Naseer
le gaya de ek bosa aql o din o dil wo shoKH
kya hisab ab kije kuchh apna hi fazil rah gaya
Shah Naseer
lagai kis but-e-mai-nosh ne hai tak us par
subu-ba-dosh hai saqi jo aabla dil ka
Shah Naseer
laga na dil ko tu apne kisi se dekh 'nasir'
bura na man ki is mein nahin bhala dil ka
Shah Naseer
laga jab aks-e-abru dekhne dildar pani mein
baham har mauj se chalne lagi talwar pani mein
Shah Naseer
lab-e-dariya pe dekh aa kar tamasha aaj holi ka
bhanwar kale ke daf baje hai mauj ai yar pani mein
Shah Naseer
kyun mai ke pine se karun inkar naseha
zahid nahin wali nahin kuchh parsa nahin
Shah Naseer