اردو हिंदी
Shah Naseer Shayari | Shaahi Shayari

Shah Naseer Shers

94 Shers

koi ye shaiKH se puchhe ki band kar aankhen
muraqabe mein bata subh-o-sham kya dekha

Shah Naseer


Tags: | 2 Lines Shayari |


ki hai ustad-e-azal ne ye rubai mauzun
chaar unsur se khule mani-e-pinhan hum ko

Shah Naseer


Tags: | 2 Lines Shayari |


ki hai ustad-e-azal ne ye rubai mauzun
chaar unsur ke siwa aur hai insan mein kya

Shah Naseer


Tags: | 2 Lines Shayari |


KHayal-e-zulf-e-dota mein 'nasir' piTa kar
gaya hai sanp nikal tu lakir piTa ka

Shah Naseer


Tags: | Zulf | | 2 Lines Shayari |


KHayal-e-naf-e-butan se ho kyun ki dil jaan-bar
nikalte koi bhanwar se na Dubta dekha

Shah Naseer




kam nahin hai afsar-shahi se kuchh taj-e-gada
gar nahin bawar tujhe munim to donon tol taj

Shah Naseer


Tags: | 2 Lines Shayari |


kabe se gharaz us ko na but-KHane se matlab
aashiq jo tera hai na idhar ka na udhar ka

Shah Naseer


Tags: | 2 Lines Shayari |


jun mauj hath mariye kya bahr-e-ishq mein
sahil 'nasir' dur hai aur dam nahin raha

Shah Naseer


Tags: | 2 Lines Shayari |


jab ki le zulf teri mushaf-e-ruKH ka bosa
phir yahan farq ho hindu o musalman mein kya

Shah Naseer


Tags: | 2 Lines Shayari |