asan-e-aina hum ne to chashm wa kar li
jidhar nigah ki saf us ko barmala dekha
Shah Naseer
aa ke salasil ai junun kyun na qadam le baad-e-qais
us ka bhi hum ne silsila az-sar-e-nau bapa kiya
Shah Naseer
ajae aab mai-e-nargisi pila mujh ko
ghiza kuchh aur na baadam ke siwa Thahra
Shah Naseer
aad-e-majnun kyun na hun main kar-farma-e-junun
ishq ki sarkar se malbus-e-ruswai mila
Shah Naseer
ai KHal-e-ruKH-e-yar tujhe Thik banata
ja chhoD diya hafiz-e-quran samajh ka
Shah Naseer
abr-e-naisan ki bhi jhaD jaegi pal mein sheKHi
dida-e-tar ko agar ashk-fishan kijiyega
Shah Naseer
aata hai to aa wada-faramosh wagarna
har roz ka ye lait-o-lal jae to achchha
Shah Naseer
aamad-o-shud kuche mein hum us ke kyun na karen manind-e-nafas
zindagi apni jaante hain is waste aate jate hain
Shah Naseer
aankhon se tujh ko yaad main karta hun roz-o-shab
be-did mujh se kis liye begana ho gaya
Shah Naseer