na hath rakh mere sine pe dil nahin is mein
rakha hai aatish-e-sozan ko dab ke ghar mein
Shah Naseer
na kyun ki ashk-e-musalsal ho rahnuma dil ka
tariq-e-ishq mein jari hai silsila dil ka
Shah Naseer
nahin hai fursat-e-ik-dam pa aah us ko nazar
habab dekhe hai aankhen nikal ke kaisa
Shah Naseer
'nasir' ab hum ko kya hai qissa-e-kaunain se matlab
ki chashm-e-pur-fusun-e-yar ka afsana rakhte hain
Shah Naseer
'nasir' us zulf ki ye kaj-adai koi jati hai
masal mashhur hai rassi jali lekin na bal nikla
Shah Naseer
pistan ko tere dekh ke miT jae phir hubab
dariya mein ta-ba-sina agar tu nahae subh
Shah Naseer
puchhne walon ko kya kahiye ki dhoke mein nahin
kufr o islam haqiqat mein hain yaksan hum ko
Shah Naseer
akh qadam hoshyar ho kar ishq ki manzil mein aah
jo hua is rah mein ghafil Thikane lag gaya
Shah Naseer
eKHta ke qasr ki buniyaad uThai ai 'nasir'
kaam hai mulk-e-suKHan mein sahib-e-maqdur ka
Shah Naseer