ja-ba-ja dasht mein KHeme hain bagule ke khaDe
urs-e-majnun ki hai dhum aaj bayaban mein kya
Shah Naseer
isi mazmun se malum us ki sard-mehri hai
mujhe nama jo us ne kaghaz-e-kashmir par likkha
Shah Naseer
aa ke salasil ai junun kyun na qadam le baad-e-qais
us ka bhi hum ne silsila az-sar-e-nau bapa kiya
Shah Naseer
ek pal mein jhaDi abr-e-tunak-maya ki sheKHi
dekha jo mera dida-e-pur-ab na Thahra
Shah Naseer
ek aabla tha so bhi gaya KHar-e-gham se phaT
teri girah mein kya dil-e-andoh-gin raha
Shah Naseer
ho guftugu hamari aur ab us ki kyunki aah
us ke dahan nahin to hamari zaban nahin
Shah Naseer
hawa par hai ye buniyaad-e-musafir KHana-e-hasti
na Thahra hai koi yan ai dil-e-mahzun na Thahrega
Shah Naseer
hum wo falak hain ahl-e-tawakkul ki misl-e-mah
rakhte nahin hain nan-e-shabina bara-e-subh
Shah Naseer
hum hain aur majnun azal se KHana-parward-e-junun
us ne ki sahra-nawardi hum ne galiyan dekhiyan
Shah Naseer