اردو हिंदी
Jab talak charb na jun sham-e-zaban kijiyega | Shaahi Shayari
jab talak charb na jun sham-e-zaban kijiyega

Ghazal

Jab talak charb na jun sham-e-zaban kijiyega

Shah Naseer

;

jab talak charb na jun sham-e-zaban kijiyega
sarguzisht apni ka kya KHak bayan kijiyega

barq san hans ke jo wa aap dahan kijiyega
mani-e-maKHzan-e-asrar ayan kijiyega

dil ko jab mail-e-chashman-e-butan kijiyega
turfat-ul-ain mein sair-e-do-jahan kijiyega

dil-e-sad-para mera shisha-e-ba-shikasta hai
is ko pamal zara dekh ke han kijiyega

dil-e-pur-abla laya hun dikhane tum ko
band ai shisha-garo! apni dukan kijiyega

kyun lagate ho mere sina-e-sad-chaak ko hath
chashm-e-sozan se nazar baKHiya-garan kijiyega

tum ko apna dil-e-pur-dagh dikhate jo kabhi
sair-e-gulshan na phir ai lala-ruKHan kijiyega

hath se mohtasib-e-dahr ke ek din barpa
sar pe shishe ke KHarabi na yahan kijiyega

aabru madd-e-nazar hum ko hai teri yan tak
ashk ko rokiyega zabt-e-fughan kijiyega

kyunki nargis teri aankhon se kare ham-chashmi
jab tak us ka na ilaj-e-yaraqan kijiyega

ru-kashi dekh na kar gosha-nashinon se falak
har tarah se teri KHatir pae-shan kijiyega

nawak-e-ah lagaenge piyape tujh par
qadd-e-KHam-gashta ko jab apne kaman kijiyega

abr-e-naisan ki bhi jhaD jaegi pal mein sheKHi
dida-e-tar ko agar ashk-fishan kijiyega

dil mein kuchh ye na samajhna ki hamara hai daur
jamadari mein shak ai baada-kashan kijiyega

dil mein rakhte ho KHayal us ki kamar ka jo 'nasir'
la-makan mein kahin kya ja ke makan kijiyega