sair ki hum ne jo kal mahfil-e-KHamoshan ki
na to begana hi bola na pukara apna
Shah Naseer
mata-e-dil bahut arzan hai kyun nahin lete
ki ek bose pe sauda hai ab to aa Thahra
Shah Naseer
mere nale ke na kyun ho charKH-e-aKHzar zer-e-pa
KHutba KHwan-e-ishq hai rakhta hai mimbar zer-e-pa
Shah Naseer
mulla ki dauD jaise hai masjid talak 'nasir'
hai mast ki bhi KHana-e-KHummar tak pahunch
Shah Naseer
na hath rakh mere sine pe dil nahin is mein
rakha hai aatish-e-sozan ko dab ke ghar mein
Shah Naseer
na kyun ki ashk-e-musalsal ho rahnuma dil ka
tariq-e-ishq mein jari hai silsila dil ka
Shah Naseer
nahin hai fursat-e-ik-dam pa aah us ko nazar
habab dekhe hai aankhen nikal ke kaisa
Shah Naseer
'nasir' ab hum ko kya hai qissa-e-kaunain se matlab
ki chashm-e-pur-fusun-e-yar ka afsana rakhte hain
Shah Naseer
'nasir' us zulf ki ye kaj-adai koi jati hai
masal mashhur hai rassi jali lekin na bal nikla
Shah Naseer