اردو हिंदी
Shah Naseer Shayari | Shaahi Shayari

Shah Naseer Shers

94 Shers

dekh tu yar-e-baada-kash main ne bhi kaam kya kiya
de ke kabab-e-dil tujhe haqq-e-namak ada kiya

Shah Naseer


Tags: | 2 Lines Shayari |


de mujh ko bhi is daur mein saqi sipar-e-jam
har mauj-e-hawa khinche hai shamshir hawa pa

Shah Naseer




dair-o-kaba mein tafawut KHalq ke nazdik hai
shahid-e-mani ka har surat hai ghar donon taraf

Shah Naseer


Tags: | 2 Lines Shayari |


chaman mein ghuncha munh khole hai jab kuchh dil ki kahne ko
nasim-e-subh bhar rakhti hai baaton mein laga lipTa

Shah Naseer


Tags: | 2 Lines Shayari |


chaman mein dekhte hi paD gai kuchh os ghunchon par
tere bustan pe aalam hai ajab shabnam ke mahram ka

Shah Naseer


Tags: | 2 Lines Shayari |


gharaz na furqat mein kufr se thi na kaam islam se raha tha
KHayal-e-zulf-e-butan hi har dam hamein to lail-o-nahaar aaya

Shah Naseer




osa-e-KHal-e-lab-e-jaanan ki kaifiyyat na puchh
nashsha-e-mai se ziyaada nashsha-e-afyun hua

Shah Naseer


Tags: | 2 Lines Shayari |


asan-e-aina hum ne to chashm wa kar li
jidhar nigah ki saf us ko barmala dekha

Shah Naseer


Tags: | 2 Lines Shayari |


ana kar man ko manka aur rag-e-tan ke tain rishta
uTha kar sang se phir hum ne chaknachur ki tasbih

Shah Naseer


Tags: | 2 Lines Shayari |