اردو हिंदी
Kya wasl ke iqrar pe mujhko ho KHushi aaj | Shaahi Shayari
kya wasl ke iqrar pe mujhko ho KHushi aaj

Ghazal

Kya wasl ke iqrar pe mujhko ho KHushi aaj

Nooh Narvi

;

kya wasl ke iqrar pe mujh ko ho KHushi aaj
is ki bhi ye surat hai kabhi kal hai kabhi aaj

wo hath mein talwar liye sar pe khaDe hain
marne nahin deti mujhe marne ki KHushi aaj

milna jo na ho tum ko to kah do na milenge
ye kya kabhi parson hai kabhi kal hai kabhi aaj

kya baat hai chhupti hi nahin baat hamari
jo un se kahi thi wo raqibon se suni aaj

surKHi bhi hai aankhon mein qadam ko bhi hai laghzish
chhup kar kahin ai 'nuh' zarur apne pi aaj