aarzu hai ki tu yahan aae
aur phir umr bhar na jae kahin
Nasir Kazmi
aaj to be-sabab udas hai ji
ishq hota to koi baat bhi thi
Nasir Kazmi
aaj dekha hai tujh ko der ke baad
aaj ka din guzar na jae kahin
Nasir Kazmi
kal jo tha wo aaj nahin jo aaj hai kal miT jaega
rukhi-sukhi jo mil jae shukr karo to behtar hai
Nasir Kazmi
mujhe ye Dar hai teri aarzu na miT jae
bahut dinon se tabiat meri udas nahin
Nasir Kazmi
mujhe to KHair watan chhoD kar aman na mili
watan bhi mujh se gharib-ul-watan ko tarsega
Nasir Kazmi
muddat se koi aaya na gaya sunsan paDi hai ghar ki faza
in KHali kamron mein 'nasir' ab shama jalaun kis ke liye
Nasir Kazmi
main to bite dinon ki khoj mein hun
tu kahan tak chalega mere sath
Nasir Kazmi
main sote sote kai bar chaunk chaunk paDa
tamam raat tere pahluon se aanch aai
Nasir Kazmi