ah-naward-e-bayaban-e-gham sabr kar sabr kar
karwan phir milenge baham sabr kar sabr ka
Nasir Kazmi
aat kitni guzar gai lekin
itni himmat nahin ki ghar jaen
Nasir Kazmi
pahaDon se chali phir koi aandhi
uDe jate hain auraq-e-KHizani
Nasir Kazmi
o mere masruf KHuda
apni duniya dekh zara
Nasir Kazmi
niyyat-e-shauq bhar na jae kahin
tu bhi dil se utar na jae kahin
Nasir Kazmi
nind aati nahin to subah talak
gard-e-mahtab ka safar dekho
Nasir Kazmi
nai duniya ke hangamon mein 'nasir'
dabi jati hain aawazen purani
Nasir Kazmi
nae kapDe badal kar jaun kahan aur baal banaun kis ke liye
wo shaKHs to shahr hi chhoD gaya main bahar jaun kis ke liye
Nasir Kazmi
na mila kar udas logon se
husn tera bikhar na jae kahin
Nasir Kazmi