main is jaanib tu us jaanib
bich mein patthar ka dariya tha
Nasir Kazmi
main hun raat ka ek baja hai
KHali rasta bol raha hai
Nasir Kazmi
kuchh yaadgar-e-shahr-e-sitamgar hi le chalen
aae hain is gali mein to patthar hi le chalen
Nasir Kazmi
kaun achchha hai is zamane mein
kyun kisi ko bura kahe koi
Nasir Kazmi
aanch aati hai tere jism ki uryani se
pairahan hai ki sulagti hui shab hai koi
Nasir Kazmi
kahte hain ghazal qafiya-paimai hai 'nasir'
ye qafiya-paimai zara kar ke to dekho
Nasir Kazmi
kabhi zulfon ki ghaTa ne ghera
kabhi aankhon ki chamak yaad aai
Nasir Kazmi
jurm-e-ummid ki saza hi de
mere haq mein bhi kuchh suna hi de
Nasir Kazmi
judaiyon ke zaKHm dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi nind aa gai mujhe bhi sabr aa gaya
Nasir Kazmi