dil to mera udas hai 'nasir'
shahr kyun saen saen karta hai
Nasir Kazmi
dil dhaDakne ka sabab yaad aaya
wo teri yaad thi ab yaad aaya
Nasir Kazmi
daem aabaad rahegi duniya
hum na honge koi hum sa hoga
Nasir Kazmi
hamare ghar ki diwaron pe 'nasir'
udasi baal khole so rahi hai
Nasir Kazmi
ulaunga na milunga na KHat likhunga tujhe
teri KHushi ke liye KHud ko ye saza dunga
Nasir Kazmi
hari duniya mein ji nahin lagta
jaane kis chiz ki kami hai abhi
Nasir Kazmi
apni dhun mein rahta hun
main bhi tere jaisa hun
Nasir Kazmi
akele ghar se puchhti hai be-kasi
tera diya jalane wale kya hue
Nasir Kazmi
ai dost hum ne tark-e-mohabbat ke bawajud
mahsus ki hai teri zarurat kabhi kabhi
Nasir Kazmi