yahi surat wahan thi be-zarurat but-kada chhoDa
KHuda ke ghar mein rakkha kya hai nahaq itni dur aae
Muztar Khairabadi
ye naqsha hai ki munh takne laga hai muddaa mera
ye haalat hai ki surat dekhta hai muddai meri
Muztar Khairabadi
ye paida hote hi rona sarihan bad-shuguni hai
musibat mein rahenge aur musibat le ke uTThenge
Muztar Khairabadi
ye to mumkin nahin mohabbat mein
aap jo kuchh kahen wo hum na karen
Muztar Khairabadi
ye to samjha main KHuda ko ki KHuda hai lekin
ye na samjha ki samajh mein meri kyunkar aaya
Muztar Khairabadi
yun kahin Dub ke mar jaun to achchha hai magar
aap ki chah ka pani nahin bharna mujh ko
Muztar Khairabadi
zahid to baKHshe jaen gunahgar munh taken
ai rahmat-e-KHuda tujhe aisa na chahiye
Muztar Khairabadi
zaban qasid ki 'muztar' kaT li jab un ko KHat bheja
ki aaKHir aadmi hai tazkira shayad kahin kar de
Muztar Khairabadi
zulf ka haal tak kabhi na suna
kyun pareshan mera dimagh hua
Muztar Khairabadi