hasinon par nahin marta main is hasrat mein marta hun
ki aise aise logon ke liye zalim qaza kyun hai
Muztar Khairabadi
hasraton ko koi kahan rakkhe
dil ke andar qayam hai tera
Muztar Khairabadi
hasti-e-ghair ka sajda hai mohabbat mein gunah
aap hi apni parastish ke saza-war hain hum
Muztar Khairabadi
hazaron husn wale is zamin mein dafn hain 'muztar'
qayamat hogi jab ye sab ke sab madfan se niklenge
Muztar Khairabadi
iman sath jaega kyunkar KHuda ke ghar
kabe ka rasta to kalisa se mil gaya
Muztar Khairabadi
isa kabhi na jate lekin tumhaare gham mein
wo bhi to mar rahe hain jo aasman par hain
Muztar Khairabadi
isa se dawa-e-maraz-e-ishq na hogi
han un ko koi DhunD ke le aae kahin se
Muztar Khairabadi
ek hum hain ki hum ne tumhein mashuq banaya
ek tum ho ki tum ne hamein rakkha na kahin ka
Muztar Khairabadi
ek hum ki hum ko subh se hai sham ki KHushi
ek tum ki tum ko sham ka dhaDka sahar se hai
Muztar Khairabadi

