wo kahte hain ye sari bewafai hai mohabbat ki
na 'muztar' be-wafa main hun na 'muztar' be-wafa tum ho
Muztar Khairabadi
wo karenge wasl ka wada wafa
rang gahre hain hamari sham ke
Muztar Khairabadi
wo mazaq-e-ishq hi kya ki jo ek hi taraf ho
meri jaan maza to jab hai ki tujhe bhi kal na aae
Muztar Khairabadi
wo pas aane na pae ki aai maut ki nind
nasib so gae masruf-e-KHwab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
wo pahli sab wafaen kya huin ab ye jafa kaisi
wo pahli sab adaen kya huin ab ye ada kyun hai
Muztar Khairabadi
wo qudrat ke namune kya hue jo us mein pahle the
main kaba kya karun mujh se ye ghar dekha nahin jata
Muztar Khairabadi
wo shayad hum se ab tark-e-talluq karne wale hain
hamare dil pe kuchh afsurdagi si chhai jati hai
Muztar Khairabadi
yaad karna hi hum ko yaad raha
bhul jaana bhi tum nahin bhule
Muztar Khairabadi
yahan se jab gai thi tab asar par KHar khae thi
wahan se phul barsati hui palTi dua meri
Muztar Khairabadi