nichhawar but-kade par dil karun kaba to koson hai
kahan le jaun itni dur qurbani mohabbat ki
Muztar Khairabadi
nigah-e-yar mil jati to hum shagird ho jate
zara ye sikh lete dil ke le lene ka Dhab kya hai
Muztar Khairabadi
nigahon mein phirti hai aaThon-pahar
qayamat bhi zalim ka qad ho gai
Muztar Khairabadi
paD gae zulfon ke phande aur bhi
ab to ye uljhan hai chande aur bhi
Muztar Khairabadi
paDa hun is tarah us dar pe 'muztar'
koi dekhe to jaane mar Dala
Muztar Khairabadi
pahle hum mein the aur ab hum se juda rahte hain
aap kahe ko gharibon se KHafa rahte hain
Muztar Khairabadi
parde wale bhi kahin aate hain ghar se bahar
ab jo aa baiThe ho tum dil mein to baiThe rahna
Muztar Khairabadi
phunke deta hai kisi ka soz-e-pinhani mujhe
ab to meri aankh bhi deti nahin pani mujhe
Muztar Khairabadi
qasid ne KHabar aamad-e-dilbar ki uDa di
aaya bhi to kam-baKHt ne be-par ki uDa di
Muztar Khairabadi