tasawwur KHana-abaadi karega
tere ghar main rahunga mere ghar tu
Muztar Khairabadi
tasawwur mein tera dar apne sar tak khinch leta hun
sitamgar main nahin chalta teri diwar chalti hai
Muztar Khairabadi
tere ghar aaen to iman ko kis par chhoDen
hum to kabe hi mein ai dushman-e-din achchhe hain
Muztar Khairabadi
tere mu-e-mizha khaTakte hain
dil ke chhaalon mein nok-e-KHar kahan
Muztar Khairabadi
teri rahmat ka nam sun sun kar
mubtala ho gaya gunahon mein
Muztar Khairabadi
teri uljhi hui baaton se mera dil uljha
tere bikhre hue baalon ne pareshan kiya
Muztar Khairabadi
Thaharna dil mein kuchh behtar na jaana
bhare ghar ko unhon ne ghar na jaana
Muztar Khairabadi
tum agar chaho to miTTi se abhi paida hon phul
main agar mangun to dariya bhi na de pani mujhe
Muztar Khairabadi
tum kyun shab-e-judai parde mein chhup gae ho
qismat ke aur tare sab aasman par hain
Muztar Khairabadi