qabr par kya hua jo mela hai
marne wala nira akela hai
Muztar Khairabadi
qais ne parda-e-mahmil ko jo dekha to kaha
ye bhi allah kare mera gareban ho jae
Muztar Khairabadi
qayamat mein baDi garmi paDegi hazrat-e-zahid
yahin se baada-e-gul-rang mein daman ko tar kar lo
Muztar Khairabadi
qibla ban jae jahan tu koi patthar rakh de
dast-e-islam wahin din ka mimbar rakh de
Muztar Khairabadi
anj-e-ghurbat mein dekh kar mujh ko
dil-e-sahra bhi bagh bagh hua
Muztar Khairabadi
uh deti rahi targhib-e-talli barson
hum magar teri gali chhoD ke upar na gae
Muztar Khairabadi
saqi mera khincha tha to main ne mana liya
ye kis tarah mane jo dhari hai khinchi hui
Muztar Khairabadi
saqi ne lagi dil ki is tarah bujha di thi
ek bund chhiDak di thi ek bund chakha di thi
Muztar Khairabadi
saqi teri nazar to qayamat si Dha gai
Thokar lagi to shisha-e-tauba bhi chur tha
Muztar Khairabadi