tumhaari jalwa-gah-e-naz mein andher hi kab tha
ye musa dauD kar kis ko dikhane shama tur aae
Muztar Khairabadi
tumhein chahun tumhaare chahne walon ko bhi chahun
mera dil pher do mujh se ye jhagDa ho nahin sakta
Muztar Khairabadi
tu na aaega to ho jaengi KHushiyan sab KHak
id ka chand bhi KHali ka mahina hoga
Muztar Khairabadi
uDa kar KHak hum kabe jo pahunche
haqiqat khul gai ku-e-butan ki
Muztar Khairabadi
umr sab zauq-e-tamasha mein guzari lekin
aaj tak ye na khula kis ke talabgar hain hum
Muztar Khairabadi
un ka ek patla sa KHanjar un ka ek nazuk sa hath
wo to ye kahiye meri gardan KHushi mein kaT gai
Muztar Khairabadi
un ko aati thi nind aur mujh ko
apna qissa tamam karna tha
Muztar Khairabadi
unhon ne kya na kiya aur kya nahin karte
hazar kuchh ho magar ek wafa nahin karte
Muztar Khairabadi
us ka bhi ek waqt hai aane do maut ko
'muztar' KHuda ki yaad abhi kyun kare koi
Muztar Khairabadi