us se kah do ki wo jafa na kare
kahin mujh sa use KHuda na kare
Muztar Khairabadi
uThe uTh kar chale chal kar thame tham kar kaha hoga
main kyun jaun bahut hain un ki haalat dekhne wale
Muztar Khairabadi
uThte joban pe khil paDe gesu
aa ke jogi base pahaDon mein
Muztar Khairabadi
wahan ja kar kiye hain main ne sajde apni hasti ko
jahan banda pahunch kar KHud KHuda malum hota hai
Muztar Khairabadi
waqt aaram ka nahin milta
kaam bhi kaam ka nahin milta
Muztar Khairabadi
waqt do mujh par kaThin guzre hain sari umr mein
ek tere aane se pahle ek tere jaane ke baad
Muztar Khairabadi
waqt-e-aKHir qaza se bigDegi
aap us waqt mein karam na karen
Muztar Khairabadi
wo gale se lipaT ke sote hain
aaj-kal garmiyan hain jaDon mein
Muztar Khairabadi
wo kahte hain ki kyun ji jis ko tum chaho wo kyun achchha
wo achchha kyun hai aur hum jis ko chahen wo bura kyun hai
Muztar Khairabadi