hum kya karen agar na teri aarzu karen
duniya mein aur bhi koi tere siwa hai kya
Hasrat Mohani
hum jaur-paraston pe guman tark-e-wafa ka
ye wahm kahin tum ko gunahgar na kar de
Hasrat Mohani
hai wahan shan-e-taghaful ko jafa se bhi gurez
iltifat-e-nigah-e-yar kahan se laun
Hasrat Mohani
aaine mein wo dekh rahe the bahaar-e-husn
aaya mera KHayal to sharma ke rah gae
Hasrat Mohani
hai intiha-e-yas bhi ek ibtida-e-shauq
phir aa gae wahin pe chale the jahan se hum
Hasrat Mohani
guzre bahut ustad magar rang-e-asar mein
be-misl hai 'hasrat' suKHan-e-'mir' abhi tak
Hasrat Mohani
ghurbat ki subh mein bhi nahin hai wo raushni
jo raushni ki sham-e-sawad-e-watan mein tha
Hasrat Mohani
gham-e-arzu ka 'hasrat' sabab aur kya bataun
meri himmaton ki pasti mere shauq ki bulandi
Hasrat Mohani
ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke KHilaf
wo tera chori-chhupe raaton ko aana yaad hai
Hasrat Mohani