اردو हिंदी
Mahrum-e-tarab hai dil-e-dil-gir abhi tak | Shaahi Shayari
mahrum-e-tarab hai dil-e-dil-gir abhi tak

Ghazal

Mahrum-e-tarab hai dil-e-dil-gir abhi tak

Hasrat Mohani

;

mahrum-e-tarab hai dil-e-dil-gir abhi tak
baqi hai tere ishq ki tasir abhi tak

wasl us but-e-bad-KHu ka mayassar nahin hota
wabasta-e-taqdir hai tadbir abhi tak

ek bar suni thi so mere dil mein hai maujud
ai jaan-e-tamanna teri taqrir abhi tak

sikhi thi jo aaghaz-e-mohabbat mein qalam ne
baqi hai wo rangini-e-tahrir abhi tak

is darja na betab ho ai shauq-e-shahadat
hai miyan mein us shoKH ki shamshir abhi tak

kahne ko to main bhul gaya hun magar ai yar
hai KHana-e-dil mein teri taswir abhi tak

bhuli nahin dil ko teri duzdida-nigahi
pahlu mein hai kuchh kuchh KHalish-e-tir abhi tak

the haq pe wo be-shak ki na hote to na hota
duniya mein bapa matam-e-'shabbir' abhi tak

guzre bahut ustad magar rang-e-asar mein
be-misl hai 'hasrat' suKHan-e-'mir' abhi tak