ai yaad-e-yar dekh ki ba-wasf-e-ranj-e-hijr
masrur hain teri KHalish-e-na-tawan se hum
Hasrat Mohani
aarzu teri barqarar rahe
dil ka kya hai raha raha na raha
Hasrat Mohani
aap ko aata raha mere satane ka KHayal
sulh se achchhi rahi mujh ko laDai aap ki
Hasrat Mohani
hai mashq-e-suKHan jari chakki ki mashaqqat bhi
ek turfa tamasha hai 'hasrat' ki tabiat bhi
Hasrat Mohani
iltifat-e-yar tha ek KHwab-e-aghaz-e-wafa
sach hua karti hain in KHwabon ki tabiren kahin
Hasrat Mohani
'hasrat' ki bhi qubul ho mathura mein haziri
sunte hain aashiqon pe tumhaara karam hai aaj
Hasrat Mohani
'hasrat' jo sun rahe hain wo ahl-e-wafa ka haal
is mein bhi kuchh fareb teri dastan ke hain
Hasrat Mohani
'hasrat' bahut hai martaba-e-ashiqi buland
tujh ko to muft logon ne mashhur kar diya
Hasrat Mohani
haqiqat khul gai 'hasrat' tere tark-e-mohabbat ki
tujhe to ab wo pahle se bhi baDh kar yaad aate hain
Hasrat Mohani