اردو हिंदी
Tasir-e-barq-e-husn jo un ke suKHan mein thi | Shaahi Shayari
tasir-e-barq-e-husn jo un ke suKHan mein thi

Ghazal

Tasir-e-barq-e-husn jo un ke suKHan mein thi

Hasrat Mohani

;

tasir-e-barq-e-husn jo un ke suKHan mein thi
ek larzish-e-KHafi mere sare badan mein thi

wan se nikal ke phir na faraghat hui nasib
aasudgi ki jaan teri anjuman mein thi

ek rang-e-iltifat bhi us be-ruKHi mein tha
ek sadgi bhi us nigah-e-sahar fan mein thi

mohtaj-e-bu-e-itr na tha jism-e-KHub-e-yar
KHushbu-e-dilbari thi jo us pairahan mein thi

kuchh dil hi bujh gaya hai mera warna aaj kal
kaifiyat-e-bahaar ki shiddat chaman mein thi

malum ho gai mere dil ko rah-e-shauq
wo baat pyar ki jo hunuz us dahan mein thi

ghurbat ki subh mein bhi nahin hai wo raushni
jo raushni ki sham-e-sawad-e-watan mein thi

aish gudaz-e-dil bhi gham-e-ashiqi mein tha
ek rahat-e-latif bhi zimn-e-mehan mein thi

achchha hua ki KHatir-e-'hasrat' se haT gai
haibat si ek jo KHatra-e-dar-o-rasan mein thi