koshishen hum ne kin hazar magar
ishq mein ek mo'tabar na hui
Hasrat Mohani
KHub-ruyon se yariyan na gain
dil ki be-iKHtiyariyan na gain
Hasrat Mohani
khinch lena wo mera parde ka kona dafatan
aur dupaTTe se tera wo munh chhupana yaad hai
Hasrat Mohani
KHanda-e-ahl-e-jahan ki mujhe parwa kya hai
tum bhi hanste ho mere haal pe rona hai yahi
Hasrat Mohani
kaT gai ehtiyat-e-ishq mein umr
hum se izhaar-e-muddaa na hua
Hasrat Mohani
kahan hum kahan wasl-e-jaanan ki 'hasrat'
bahut hai unhen ek nazar dekh lena
Hasrat Mohani
kabhi ki thi jo ab wafa kijiyega
mujhe puchh kar aap kya kijiyega
Hasrat Mohani
jo aur kuchh ho teri did ke siwa manzur
to mujh pe KHwahish-e-jannat haram ho jae
Hasrat Mohani
jabin par sadgi nichi nigahen baat mein narmi
muKHatib kaun kar sakta hai tum ko lafz-e-qatil se
Hasrat Mohani