phir aur taghaful ka sabab kya hai KHudaya
main yaad na aaun unhen mumkin hi nahin hai
Hasrat Mohani
malum sab hai puchhte ho phir bhi muddaa
ab tum se dil ki baat kahen kya zaban se hum
Hasrat Mohani
manus ho chala tha tasalli se haal-e-dil
phir tu ne yaad aa ke ba-dastur kar diya
Hasrat Mohani
milte hain is ada se ki goya KHafa nahin
kya aap ki nigah se hum aashna nahin
Hasrat Mohani
mujh ko dekho mere marne ki tamanna dekho
phir bhi hai tum ko masihai ka dawa dekho
Hasrat Mohani
mujh se tanhai mein gar miliye to dije galiyan
aur bazm-e-ghair mein jaan-e-haya ho jaiye
Hasrat Mohani
munhasir waqt-e-muqarrar pe mulaqat hui
aaj ye aap ki jaanib se nai baat hui
Hasrat Mohani
nahin aati to yaad un ki mahinon tak nahin aati
magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain
Hasrat Mohani
paigham-e-hayat-e-jawedan tha
har naghma-e-krishn bansuri ka
Hasrat Mohani