tumhaare waz mein tasir to hai hazrat-e-waiz
asar lekin nigah-e-naz ka bhi kam nahin hota
Akbar Allahabadi
tum nak chaDhate ho meri baat pe ai shaiKH
khinchungi kisi rose main ab kan tumhaare
Akbar Allahabadi
teri zulfon mein dil uljha hua hai
bala ke pech mein aaya hua hai
Akbar Allahabadi
tifl mein bu aae kya man bap ke atwar ki
dudh to Dibbe ka hai talim hai sarkar ki
Akbar Allahabadi
tayyar the namaz pe hum sun ke zikr-e-hur
jalwa buton ka dekh ke niyat badal gai
Akbar Allahabadi
tashbih tere chehre ko kya dun gul-e-tar se
hota hai shagufta magar itna nahin hota
Akbar Allahabadi
tahsin ke laeq tera har sher hai 'akbar'
ahbab karen bazm mein ab wah kahan tak
Akbar Allahabadi
ahta hai ibaadat mein hamein maut ka khaTka
hum yaad-e-KHuda karte hain, kar le na KHuda yaad
As I pray I am afraid that death should not befall
While I do remember God, he should not recall
Akbar Allahabadi
ah-o-rasm-e-mohabbat in hasinon se main kya rakkhun
jahan tak dekhta hun nafa un ka hai zarar apna
Akbar Allahabadi