ah-o-rasm-e-mohabbat in hasinon se main kya rakkhun
jahan tak dekhta hun nafa un ka hai zarar apna
Akbar Allahabadi
ahta hai ibaadat mein hamein maut ka khaTka
hum yaad-e-KHuda karte hain, kar le na KHuda yaad
As I pray I am afraid that death should not befall
While I do remember God, he should not recall
Akbar Allahabadi
aqibon ne rapaT likhwai hai ja ja ke thane mein
ki 'akbar' nam leta hai KHuda ka is zamane mein
Akbar Allahabadi
sab ho chuke hain us but-e-kafir-ada ke sath
rah jaenge rasul hi bas ab KHuda ke sath
Akbar Allahabadi
samajh mein saf aa jae fasahat is ko kahte hain
asar ho sunne wale par balaghat is ko kahte hain
Akbar Allahabadi
sau jaan se ho jaunga raazi main saza par
pahle wo mujhe apna gunahgar to kar le
Akbar Allahabadi
shaiKH apni rag ko kya karen reshe ko kya karen
mazhab ke jhagDe chhoDen to peshe ko kya karen
Akbar Allahabadi
shaiKH ki dawat mein mai ka kaam kya
ehtiyatan kuchh manga li jaegi
Akbar Allahabadi
sidhaaren shaiKH kaba ko hum inglistan dekhenge
wo dekhen ghar KHuda ka hum KHuda ki shan dekhenge
Akbar Allahabadi