ataun aap ko marne ke baad kya hoga
polao khaenge ahbab fatiha hoga
Akbar Allahabadi
aai hogi kisi ko hijr mein maut
mujh ko to nind bhi nahin aati
Akbar Allahabadi
BA bhi pas hon mile bi-bi bhi dil-pasand
mehnat ki hai wo baat ye qismat ki baat hai
Akbar Allahabadi
asar ye tere anfas-e-masihai ka hai 'akbar'
allahabad se langDa chala lahore tak pahuncha
Akbar Allahabadi
aql mein jo ghir gaya la-intiha kyunkar hua
jo sama mein aa gaya phir wo KHuda kyunkar hua
Akbar Allahabadi
akbar dabe nahin kisi sultan ki fauj se
lekin shahid ho gae biwi ki nauj se
Akbar Allahabadi
agar mazhab KHalal-andaz hai mulki maqasid mein
to shaiKH o barhaman pinhan rahen dair o masajid mein
Akbar Allahabadi
ab to hai ishq-e-butan mein zindagani ka maza
jab KHuda ka samna hoga to dekha jaega
Akbar Allahabadi
aashiqi ka ho bura us ne bigaDe sare kaam
hum to ab mein rahe aghyar ba ho gae
Akbar Allahabadi