kuchh allahabad mein saman nahin bahbud ke
yan dhara kya hai ba-juz akbar ke aur amrud ke
Akbar Allahabadi
kuchh nahin kar-e-falak hadsa-pashi ke siwa
falsafa kuchh nahin alfaz-tarashi ke siwa
Akbar Allahabadi
kuchh tarz-e-sitam bhi hai kuchh andaz-e-wafa bhi
khulta nahin haal un ki tabiat ka zara bhi
Akbar Allahabadi
kya hi rah rah ke tabiat meri ghabraati hai
maut aati hai shab-e-hijr na nind aati hai
Akbar Allahabadi
leaderon ki dhum hai aur follower koi nahin
sab to general hain yahan aaKHir sipahi kaun hai
Akbar Allahabadi
log kahte hain ki bad-nami se bachna chahiye
kah do be is ke jawani ka maza milta nahin
Akbar Allahabadi
log kahte hain badalta hai zamana sab ko
mard wo hain jo zamane ko badal dete hain
Akbar Allahabadi
lipaT bhi ja na ruk 'akbar' ghazab ki beauty hai
nahin nahin pe na ja ye haya ki duty hai
Akbar Allahabadi
public mein zara hath mila lijiye mujh se
sahab mere iman ki qimat hai to ye hai
Akbar Allahabadi