اردو हिंदी
Kya jaaniye sayyad the haq aagah kahan tak | Shaahi Shayari
kya jaaniye sayyad the haq aagah kahan tak

Ghazal

Kya jaaniye sayyad the haq aagah kahan tak

Akbar Allahabadi

;

kya jaaniye sayyad the haq aagah kahan tak
samjhe na ki sidhi hai meri rah kahan tak

mantiq bhi to ek chiz hai ai qibla o kaba
de sakti hai kaam aap ki wallah kahan tak

aflak to is ahd mein sabit hue madum
ab kya kahun jati hai meri aah kahan tak

kuchh sanat o hirfat pe bhi lazim hai tawajjoh
aaKHir ye gowernment se tanKHwah kahan tak

marna bhi zaruri hai KHuda bhi hai koi chiz
ai hirs ke bando hawas-e-jah kahan tak

tahsin ke laeq tera har sher hai 'akbar'
ahbab karen bazm mein ab wah kahan tak