mujh ko to dekh lene se matlab hai naseha
bad-KHu agar hai yar to ho KHub-ru to hai
Akbar Allahabadi
naz kya is pe jo badla hai zamane ne tumhein
mard hain wo jo zamane ko badal dete hain
Akbar Allahabadi
naukaron par jo guzarti hai mujhe malum hai
bas karam kije mujhe bekar rahne dijiye
Akbar Allahabadi
paD jaen mere jism pe lakh aable 'akbar'
paDh kar jo koi phunk de april may june
Akbar Allahabadi
paida hua wakil to shaitan ne kaha
lo aaj hum bhi sahib-e-aulad ho gae
seeing the lawyer born, satan was moved to say
lo and behold I have become a father today
Akbar Allahabadi
public mein zara hath mila lijiye mujh se
sahab mere iman ki qimat hai to ye hai
Akbar Allahabadi
puchha 'akbar' hai aadmi kaisa
hans ke bole wo aadmi hi nahin
Akbar Allahabadi
qaum ke gham mein dinner khate hain hukkaam ke sath
ranj leader ko bahut hai magar aaram ke sath
Akbar Allahabadi
ahman ke farishte go hain bahut muqaddas
shaitan hi ki jaanib lekin majority hai
Akbar Allahabadi