unhen bhi josh-e-ulfat ho to lutf uTThe mohabbat ka
hamin din-raat agar taDpe to phir is mein maza kya hai
Akbar Allahabadi
wasl ho ya firaq ho 'akbar'
jagna raat bhar musibat hai
whether in blissful union or in separation
staying up all night, is a botheration
Akbar Allahabadi
yahan ki auraton ko ilm ki parwa nahin be-shak
magar ye shauharon se apne be-parwa nahin hotin
Akbar Allahabadi
ye dilbari ye naz ye andaz ye jamal
insan kare agar na teri chah kya kare
this loveliness, this mischief, this style this beauty too
what can a person do save fall in love with you
Akbar Allahabadi
ye hai ki jhukata hai muKHalif ki bhi gardan
sun lo ki koi shai nahin ehsan se behta
Akbar Allahabadi
zaruri chiz hai ek tajraba bhi zindagani mein
tujhe ye degreeyan buDhon ka ham-sin kar nahin saktin
Akbar Allahabadi