اردو हिंदी
Teri zulfon mein dil uljha hua hai | Shaahi Shayari
teri zulfon mein dil uljha hua hai

Ghazal

Teri zulfon mein dil uljha hua hai

Akbar Allahabadi

;

teri zulfon mein dil uljha hua hai
bala ke pech mein aaya hua hai

na kyunkar bu-e-KHun name se aae
usi jallad ka likkha hua hai

chale duniya se jis ki yaad mein hum
ghazab hai wo hamein bhula hua hai

kahun kya haal agli ishraton ka
wo tha ek KHwab jo bhula hua hai

jafa ho ya wafa hum sab mein KHush hain
karen kya ab to dil aTka hua hai

hui hai ishq hi se husn ki qadr
hamin se aap ka shohra hua hai

buton par rahti hai mail hamesha
tabiat ko KHudaya kya hua hai

pareshan rahte ho din raat 'akbar'
ye kis ki zulf ka sauda hua hai