main bhi graduate hun tum bhi graduate
ilmi mubahise hon zara pas aa ke leT
Akbar Allahabadi
main hun kya chiz jo us tarz pe jaun 'akbar'
'nasiKH' o 'zauq' bhi jab chal na sake 'mir' ke sath
Akbar Allahabadi
marub ho gae hain wilayat se shaiKH-ji
ab sirf mana karte hain desi sharab ko
Akbar Allahabadi
maut aai ishq mein to hamein nind aa gai
nikli badan se jaan to kanTa nikal gaya
Akbar Allahabadi
mazhabi bahs main ne ki hi nahin
faltu aql mujh mein thi hi nahin
from sectarian debate refrained
for I was not so scatter-brained
Akbar Allahabadi
mere hawas ishq mein kya kam hain muntashir
majnun ka nam ho gaya qismat ki baat hai
Akbar Allahabadi
meri ye bechainiyan aur un ka kahna naz se
hans ke tum se bol to lete hain aur hum kya karen
Akbar Allahabadi
mera mohtaj hona to meri haalat se zahir hai
magar han dekhna hai aap ka hajat-rawa hona
Akbar Allahabadi
mohabbat ka tum se asar kya kahun
nazar mil gai dil dhaDakne laga
Akbar Allahabadi