man bap aur ustad sab hain KHuda ki rahmat
hai rok-Tok un ki haq mein tumhaare neamat
Altaf Hussain Hali
kis tarah 'amanat' na rahun gham se main dil-gir
aankhon mein phira karti hai ustad ki surat
Amanat Lakhnavi
adab talim ka jauhar hai zewar hai jawani ka
wahi shagird hain jo KHidmat-e-ustad karte hain
Chakbast Brij Narayan
wahi shagird phir ho jate hain ustad ai 'jauhar'
jo apne jaan-o-dil se KHidmat-e-ustad karte hain
Lala Madhav Ram Jauhar
ustad ke ehsan ka kar shukr 'munir' aaj
ki ahl-e-suKHan ne teri tarif baDi baat
Muneer Shikohabadi
shagird hain hum 'mir' se ustad ke 'rasiKH'
ustadon ka ustad hai ustad hamara
Rasikh Azimabadi