nae jhagDe nirali kawishen ijad karte hain
watan ki aabru ahl-e-watan barbaad karte hain
hawa mein uD ke sair-e-alam-e-ijad karte hain
farishte dang hain wo kaam aadam-zad karte hain
naya maslak naya rang-e-suKHan ijad karte hain
urus-e-sher ko hum qaid se aazad karte hain
mata-e-pas-e-ghairat bul-hawas barbaad karte hain
lab-e-KHamosh ko sharminda-e-faryaad karte hain
hawa-e-taza pa kar bostan ko yaad karte hain
asiran-e-qafas waqt-e-sahar fariyaad karte hain
zara ai kunj-e-marqad yaad rakhna us hamiyyat ko
ki ghar viran kar ke hum tujhe aabaad karte hain
har ek KHisht-e-kuhan afsana-e-derina kahti hai
zaban-e-haal se TuTe khanDar fariyaad karte hain
bala-e-jaan hain ye tasbih aur zunnar ke phande
dil-e-haq-bin ko hum is qaid se aazad karte hain
azan dete hain but-KHane mein ja kar shan-e-momin se
haram ke nara-e-naqus hum ijad karte hain
nikal kar apne qalib se naya qalib basaegi
asiri ke liye hum ruh ko aazad karte hain
mohabbat ke chaman mein majma-e-ahbab rahta hai
nai jannat isi duniya mein hum aabaad karte hain
nahin ghaTti meri aankhon mein tariki shab-e-gham ki
ye tare raushni apni abas barbaad karte hain
thake-mande musafir zulmat-e-sham-e-ghariban mein
bahaar-e-jalwa-e-subh-e-watan ko yaad karte hain
dil-e-nashad rota hai zaban uf kar nahin sakti
koi sunta nahin yun be-nawa fariyaad karte hain
janab-e-shaiKH ko ye mashq hai yaad-e-ilahi ki
KHabar hoti nahin dil ko zaban se yaad karte hain
nazar aati hai duniya ek ibaadat-gah-e-nurani
sahar ka waqt hai bande KHuda ko yaad karte hain
sabaq umr-e-rawan ka dil-nashin hone nahin pata
hamesha bhulte jate hain jo kuchh yaad karte hain
zamane ka moallim imtihan un ka nahin karta
jo aankhen khol kar ye dars-e-hasti yaad karte hain
adab talim ka jauhar hai zewar hai jawani ka
wahi shagird hain jo KHidmat-e-ustad karte hain
na jaani qadr teri umr-e-rafta hum ne collage mein
nikal aate hain aansu ab tujhe jab yaad karte hain
Ghazal
Nae jhagDe nirali kawishen ijad karte hain
Chakbast Brij Narayan