kisi ko bhej ke KHat hae ye kaisa azab aaya
ki har ek puchhta hai nama-bar aaya jawab aaya
Ahsan Marahravi
mera KHat us ne paDha paDh ke nama-bar se kaha
yahi jawab hai is ka koi jawab nahin
Ameer Minai
wo aur wada wasl ka qasid nahin nahin
sach sach bata ye lafz unhin ki zaban ke hain
Ameer Minai
qasid payam un ka na kuchh der abhi suna
rahne de mahw-e-lazzat-e-zauq-e-KHabar mujhe
Asar Lakhnavi
pata milta nahin us be-nishan ka
liye phirta hai qasid ja-ba-ja KHat
Bahram ji
aati hai baat baat mujhe bar bar yaad
kahta hun dauD dauD ke qasid se rah mein
Dagh Dehlvi
koi nam-o-nishan puchhe to ai qasid bata dena
taKHallus 'dagh' hai wo aashiqon ke dil mein rahte hain
Dagh Dehlvi