phirta hai mere dil mein koi harf-e-muddaa
qasid se kah do aur na jae zara si de
Dagh Dehlvi
ashkon ke nishan parcha-e-sada pe hain qasid
ab kuchh na bayan kar ye ibarat hi bahut hai
Ehsan Ali Khan
kya bhul gae hain wo mujhe puchhna qasid
nama koi muddat se mere kaam na aaya
Fana bulandshahri
ya us se jawab-e-KHat lana ya qasid itna kah dena
bachne ka nahin bimar tera irshad agar kuchh bhi na hua
Haqeer
mera KHat paDh liya us ne magar ye to bata qasid
nazar aai jabin par bund bhi koi pasine ki
Heera Lal Falak Dehlvi
pahunche na wahan tak ye dua mang raha hun
qasid ko udhar bhej ke dhyan aae hai kya kya
Jalal Lakhnavi
qasid nahin ye kaam tera apni rah le
us ka payam dil ke siwa kaun la sake
Khwaja Meer u0027Dardu0027