jab us ne mera KHat na chhua hath se apne
qasid ne bhi chipka diya diwar se kaghaz
Peer Sher Mohammad Ajiz
KHat-e-shauq ko paDh ke qasid se bole
ye hai kaun diwana KHat likhne wala
Saail Dehlvi
phaD kar KHat us ne qasid se kaha
koi paigham zabani aur hai
Sardar Genda Singh Mashriqi
jawab-e-nama ya deta nahin ya qaid karta hai
jo bheja hum ne qasid phir na pai kuchh KHabar us ki
Shaikh Zahuruddin Hatim
qayamat hai ye kah kar us ne lauTaya hai qasid ko
ki un ka to har ek KHat aaKHiri paigham hota hai
Sheri Bhopali
qayamat hai ye kah ke us ne lauTaya hai qasid ko
ki un ka to har ek KHat aaKHiri paigham hota hai
Sheri Bhopali
dekh qasid ko mere yar ne puchha 'taban'
kya mere hijr mein jita hai wo ghamnak hanuz
Taban Abdul Hai