sare jahan se achchha hindostan hamara
hum bulbulen hain is ki ye gulsitan hamara
Allama Iqbal
watan ki KHak se mar kar bhi hum ko uns baqi hai
maza daman-e-madar ka hai is miTTi ke daman mein
Chakbast Brij Narayan
lahu watan ke shahidon ka rang laya hai
uchhal raha hai zamane mein nam-e-azadi
Firaq Gorakhpuri
dil se niklegi na mar kar bhi watan ki ulfat
meri miTTi se bhi KHushbu-e-wafa aaegi
Lal Chand Falak
KHuda ai kash 'nazish' jite-ji wo waqt bhi lae
ki jab hindostan kahlaega hindostan-e-azadi
Nazish Partap Gadhi
na hoga raegan KHun-e-shahidan-e-watan hargiz
yahi surKHi banegi ek din unwan-e-azadi
Nazish Partap Gadhi
naqsha le kar hath mein bachcha hai hairan
kaise dimak kha gai us ka hindostan
Nida Fazli