اردو हिंदी
Kuchh aisa pas-e-ghairat uTh gaya is ahd-e-pur-fan mein | Shaahi Shayari
kuchh aisa pas-e-ghairat uTh gaya is ahd-e-pur-fan mein

Ghazal

Kuchh aisa pas-e-ghairat uTh gaya is ahd-e-pur-fan mein

Chakbast Brij Narayan

;

kuchh aisa pas-e-ghairat uTh gaya is ahd-e-pur-fan mein
ki zewar ho gaya tauq-e-ghulami apni gardan mein

shajar sakte mein hain KHamosh hain bulbul nasheman mein
sidhaara qafila phulon ka sannaTa hai gulshan mein

garan thi dhup aur shabnam bhi jin paudon ko gulshan mein
teri qudrat se wo phule-phale sahra ke daman mein

hawa-e-taza dil ko KHud-baKHud bechain karti hai
qafas mein kah gaya koi bahaar aai hai gulshan mein

miTana tha use bhi jazba-e-shauq-e-fana tujh ko
nishan-e-qabr-e-majnun dagh hai sahra ke daman mein

zamana mein nahin ahl-e-hunar ka qadar-dan baqi
nahin to saikDon moti hain is dariya ke daman mein

yahan tasbih ka halqa wahan zunnar ka phanda
asiri lazmi hai mazhab-e-shaiKH-o-barahman mein

jinhen sincha tha KHun-e-dil se agle baghbanon ne
taraste ab hain pani ko wo paude mere gulshan mein

dikhaya moajiza husn-e-bashar ka dast-e-qudrat ne
bhari tasir taswir-e-gili ke rang-o-roghan mein

shahid-e-yas hun ruswa hun nakaami ke hathon se
jigar ka chaak baDh kar aa gaya hai mere daman mein

jahan mein rah ke yun qaem hun apni be-sabaati par
ki jaise aks-e-gul rahta hai aab-e-ju-e-gulshan mein

sharab-e-husn ko kuchh aur hi tasir deta hai
jawani ke numu se be-KHabar hona laDakpan mein

shabab aaya hai paida rang hai ruKHsar-e-nazuk se
farogh-e-husn kahta hai sahar hoti hai gulshan mein

nahin hota hai muhtaj-e-numaish faiz shabnam ka
andheri raat mein moti luTa jati hai gulshan mein

mata-e-dard-e-dil ek daulat-e-bedar hai mujh ko
dur-e-shahwar hain ashk-e-mohabbat mere daman mein

na batlai kisi ne bhi haqiqat raaz-e-hasti ki
buton se ja ke sar phoDa bahut dair-e-barahman mein

purani kawishen dair-o-haram ki miTti jati hai
nai tahzib ke jhagDe hain ab shaiKH-o-barahman mein

uDa kar le gai baad-e-KHizan is sal us ko bhi
raha tha ek barg-e-zard baqi mere gulshan mein

watan ki KHak se mar kar bhi hum ko uns baqi hai
maza daman-e-madar ka hai is miTTi ke daman mein